Description
Humein ek tajurbakaar tailor ya costume maker ki zaroorat hai jo custom costumes banane ka experience rakhta ho. Khaas taur par fur fabric par kaam karne ka tajurba zaroori hai.
Zaroori Skills aur Experience:
Shuru se pattern banane ka tajurba ho.
Fabric ki cutting aur stitching dono achhi tarah aati hon.
Fur fabric aur custom costumes banane ka experience ho.
Saaf sutri finishing aur perfect fitting kar sakta ho.
Measurements aur designs ke mutabiq kaam karna aata ho.
Waqt ki pabandi kare aur kaam tay-shuda waqt par mukammal kare.
Location: Karachi
Agar aap is kaam mein dilchaspi rakhte hain ya kisi aise tajurbakaar shakhs ko jaante hain, to apni details, kaam ka experience aur pehle kiye gaye projects ki pictures ke saath rabta karein.
Sirf tajurbakaar afraad rabta karein.
0/3/1/2/1/254/3/3/5