Description
OnePlus 6 For Sale — Serious Buyers Only!
Assalam-o-Alaikum!
OnePlus 6 sale ke liye available hai. Mere walid sahib ne taqreeban 1 se 1.5 mahina pehle ye mobile Rs. 28,000 ka liya tha. Unko mobile ky bary mein koi information nhi Hy. Baad mein mobile ki back glass crack ho gayi. Is mobile ki back kanch ki hoti hai isliye zara sa bhi dabav padane per Tut jaati hai. Jab humne shopkeeper se baat ki aur mobile wapas karne ka kaha, to usne back glass tootne ki wajah se same price par wapas lene se mana kar diya.
Ab seedhi si baat hai: mobile humein mehanga mila tha, lekin ab hum munasib price par sell kar duga
Mobile bilkul open ya repair nahi hua.
Buyer chahe to apni tasalli ke liye kisi bhi mobile shop se check karwa sakta hai.
Back glass cracked hai — koi baat chhupayi nahi ja rahi.
dono sim working mein hai.
Charger saath milega.
Purchase ki original receipt bhi maujood hai.
Price reasonable rakhi jayegi — genuine buyer hi contact karein.
Jo bhai mobile lena chahta hai, woh aaye, check kare, tasalli kare aur phir deal kare. Lekin please fazool aur bohat low offers de kar apna aur hamara time waste na karein.
Deal saaf, baat saaf — serious buyers inbox karein!