Description
Assalam-o-Alaikum!
Gujrat ke mashhoor ilaqe Bimber Road par واقع hamari shop "Good Luck Wood Decor" ke liye ek mehnti larke / helper ki fori zaroorat hai.
Humari shop par lakri ka A to Z tamam kaam kiya jata hai, jaisay ke:
Kitchen Cabinets
Wardrobes (Almarian)
Stylish Darwazay aur Bed Room Sets
Tamam qisam ka custom furniture aur Polish / Wood Decor ka kaam.
Job Details & Terms:
New Learners / Helpers (Jinhein kaam nahi aata):
Agar aap ko lakri ka kaam nahi aata lekin aap mein kaam seekhnay ka sacha shauk aur junoon hai, toh aap ko hamare tajurba car ustaad ke zariye shuru se kaam sikhaya jaye ga. Is category ke liye aik minimum starting salary / wazifa diya jaye ga, aur jaise jaise aap kaam seekhtay jayenge, salary mein shandar izafa kiya jaye ga.
Experienced Workers (Jinhein kaam aata hai):
Jin afraad ko carpentry aur woodworking ka pehlay se tajurba hai, un ki salary un ke kaam ki salahiyat (skills) aur quality ke hisaab se tay ki jaye gi. Jitna behtareen kaam hoga, utni hi achi salary di jaye gi.
Job Type: Full-Time
Location: Bimber Road, Gujrat
Agar aap mehnat karna chahtay hain aur apna mustaqbil sanwurna chahtay hain, toh aaj hi humaray sath rabta karein!
Contact Number: (View phone number)/ (View phone number)
Address: Good Luck Wood Decor, Bimber Road, Gujrat.