Description
As salamu Alaikum Wa Rahmatullaah
Wapda Town (Rahmat Chowk k qareeb) Fries ka Kaam Shuru kr rahay hain. Menu may Fries, Loaded fries, Spiral, Samosa shamil hain.
Aesa Worker Darkar hai Jo Fries ka Saraaaa kaam Buhat Achay aur Professional tareeqay say Janta ho, اناڑی bnda na ho. Automatic Blower model Fryer acha Use kr skta ho, Half Fry Full Fry aur Fryer say mutalliq tmam cheezain (Cleaning, Filtering) aati hon. Customer dealing aur conflict handling janta ho. Zaroorat prnay pr achi Sauces bana skta ho for eg Mayo Garlic, Chipotle wagherah. Is Tarah kee deegar zaroori cheezain Jo aehm Hoti hain, wo bhi janta ho. Zimaydari lenay Wala ho, Imaan Dar ho, Sach bolnay Wala ho.
Sirf wahi Rabta karay Jo in kamoun ko professionally Janta ho, is k ilawa koi contact na karay, Agr ap smjhtay hain k ap kaam achay tareeqay say jantay hain aur Imandaar bhi hain Tou rabta kr sktay hain. Pehlay shop pr Bula kr apka Test Liya jaey ga aur phir Done Kiya jaey ga. Agr baat na bn saki Tou reject kr diya jaey ga. Agr ap kaam nhi jantay Tou rabta kr k apna aur Hmara waqt zaya Mt karein.
Chalak, Shatir, Larraku, Do number, Jhoot bolnay Wala, Lalchi qism ka bnda hargiz rabta na karay kyun k aesay Bnday ko Agr hum nay ghalti say rakh bhi Liya Tou haqeeqat pta chltay hee foran usi waqt nikal dein gay.
Shukriya.